«

»

Jun
15

आपकी आवाज – ज़िम्मेदार कौन by अख्तर रिज़वी

The Puri beach, Orissa, India, taken by Nir Nu...

Image via Wikipedia

 

Zimmedar kaun..??

 ये लेख अख्तर रिज़वी ने ई-मेल से भेजा है, इसमें उन्होने बोर्ड के परीक्षा परिणाम घोषित होने के बाद असफल और उम्मीद से कम अंक प्राप्त करने वाले छात्रों की मन:स्थिति और इसके लिये ज़िम्मेदार हमारी पारिवारिक और सामाजिक व्यवस्था के बारे मे अपने विचार व्यक्त किये हैं।

Doston..

 

Abhi kuch dein pehle exam ke result aaye hain

Aur tab se lagatar samachar patron me kisi na kisi

Student ki suicide ki khabren parhne ko mil rahi hain

Aur yeh sirf iss bar hi nahi har bar jab bhi exams ke

Result aate hain aisi khabren parhne aur sunne ko milti

Hain jise parh kar dimagh ghoom jata hai aur yeh

Sochne par majboor ho jata hai ke aakhir in atmhatyaon

Ka zimmedar kaun hai?woh kaun se halat hain jin

Se majboor hokar yeh bachche apni zindigi ko hi

Khatm kar lete hain?kaun zimmedar hai in atm hatyaon

Ka…parivar wale,teachers,samaj ya barhti hui

Berozgari ki samassya?hum aakhir ander se itne

Kamzor kyun hote ja rahe hain ke zara si nakami

Hum se sehen nahi hoti,kya sirf ek exam me fail hona

Puri zindigi ka fail hona hai?

Doston yeh sach hai ke koi bhi asaphal hona nahi chata

Lekin ek asafalta ka matlab yeh to nahi ke hamari puri

Zindigi hi asaphal ho gayi….Asal me hum apne bachchon

Par kuch zyada hi pressure dal dete hain,din raat uthte

Baithte unse kehte rehte hain ke agar achchi percentage

Nahi aayi to aage admission nahi milega,ya tum zindigi

Me kuch nahi kar sakte aur hum apni apekshaon ka

Bojh un par itna zyada dal dete hain ke vipreet result aane

Ke baad woh atmhatya jaisi harkat kar baithte hain

Yeh theek hai key eh daur competition ka daur hai,

Har jagha percentage ki ahmiyat hai,bahut high levil par

Meritt banti hai,pehle achche school me admission ki problem

Phir kisi competition me baithne ka masla uske baad job

Ki chinta aur sab se upper teachers aur parents ki

Apekshaen yeh sab milkar bachchon ke dimagh par kuch

Zyada hi bojh dal deti hain jiska nateeja aisi ghatnaon

Ke roop me samne aata hai….aur yeh baat sir students

Par hi laagu nahi hoti aap roz samachar patra utha kar

Dekh len aapko atmhatya ki koi na koi khabar mil hi

Jayegi,kisi ne berozgari se tang aakar,kisi ne gharelu

Samassyaon ke rehte,kisi ne pyar me nakam hone par

Kisi dulhan ne sasural  ki yatnaon se pareshan ho kar

Atmhatya kar li….jab bhi hum aisi koi khabar parhte

Hain to ek sawal hamesha hamare dimagh me uthta hai

Ke hum itne kamzor kyun hote ja rahe hai ke zara si

Nakami hum se bardasht nahi hoti??

Doston chahe who zindigi ka koi bhi field ho sierf

Ek nakami ka matlab yeh to nahi ke hamari zindigi

Hi nakam ho gai…hona to yeh chahiye ke hum us

Nakami se kuch seekh len ek bar thande dil se ghaur

Karen ke hamse kahan kami reh gayi phir us kami ko

Door karte hue naye sire se mehnat Karen lagatar koshish

Karen aur us nakami ko chunoti ki tarha sweekar karte

Hue aage barhen phir dekhiyega

 

ke kamyabi kaise

Nahi milti hai sath hi hum parents se bhi yeh kehna

Chahenge ke who apne bachchon par apni apekshaon

Ka itna bojh na dalen jise who bardasht na kar saken

Unme atmvishvas paida Karen,unhen dimaghi taur

Par har nakami,har pareshani aur har paristithi ka muqabla

Karne ki himmat den phir aap khud dekhenge kis tarha

Aap ke bachche aap ki ummeedon par pur utarte hain

Warna dusri surat me to Mirza Ghalib ka yeh hi sher

Dohrana parega….

 

AB TO GHABRA KE YEH KEHTE HAIN

KE MAR JAYENGE;

MAR KE BHI CHAIN NA PAYA TO

KIDHAR JAYENGE….

                                              **AKHTAR RIZVI

facebook comments:

Leave a Reply

Your email address will not be published.

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <strike> <strong>


Facebook login by WP-FB-AutoConnect